zahiran maut hai qaza hai ishq
By abdul-ghafoor-nassakhOctober 22, 2020
zahiran maut hai qaza hai ishq
par haqiqat mein jaan-faza hai ishq
deta hai lakh tarah se taskin
maraz-e-hijr mein dawa hai ishq
ta-dam-e-marg sath deta hai
ek mahbub-e-ba-wafa hai ishq
dekh 'nassakh' gar na hota kufr
kahte be-shubah hum khuda hai ishq
par haqiqat mein jaan-faza hai ishq
deta hai lakh tarah se taskin
maraz-e-hijr mein dawa hai ishq
ta-dam-e-marg sath deta hai
ek mahbub-e-ba-wafa hai ishq
dekh 'nassakh' gar na hota kufr
kahte be-shubah hum khuda hai ishq
44700 viewsghazal • English