zahiran ye but to hain nazuk gul-e-tar ki tarah

By shauq-bahraichiNovember 20, 2020
zahiran ye but to hain nazuk gul-e-tar ki tarah
dil magar hota hai kam-bakhton ka patthar ki tarah
jalwa-gah-e-naz mein dekh aae hain sau bar hum
rang-e-ru-e-yar hai bilkul chuqandar ki tarah


munis-e-tanhai jab hota nahin hai ham-khayal
ghar mein bhi jhanjhat hua karta hai bahar ki tarah
aap behad nek-tinat nek-sirat nek-khu
harkaten karte hain lekin aap bandar ki tarah


jis ke hami ho gae waiz wo bazi le gaya
ahmiyat hai aap ki duniya mein joker ki tarah
allah allah ye sitam-gar ki qayamat-khez chaal
roz hangama hua karta hai mahshar ki tarah


puchhne wale gham-e-jaanan ki shirini na puchh
gham ke mare roz udate hain muzafar ki tarah
zeb-e-tan waiz ke dekhi hai qaba-e-zar-nigar
sar pe amama hai ek dhobi ke gatthar ki tarah


dost ke ifa-e-wada ka hai ab tak intizar
guzra october nowember bhi september ki tarah
naz mein andaz mein raftar mein guftar mein
ardali bhi hain collector ke collector ki tarah


nashsha-bandi chahte to hain ye hami din ke
phir bhi mil jae to pi len shir-e-madar ki tarah
ho raha hai jis qadar bhi 'shauq'-sahab insidad
utni hi katti hai rishwat muli gajar ki tarah


53461 viewsghazalEnglish