zahr-e-gham dil mein samone bhi nahin deta hai
By zafar-anwarNovember 27, 2020
zahr-e-gham dil mein samone bhi nahin deta hai
karb-e-ehsas ko khone bhi nahin deta hai
dil ki zakhmon ko kiya karta hai taza har-dam
phir sitam ye hai ki rone bhi nahin deta hai
ashk-e-khun dil se umand aate hain dariya ki tarah
daman-e-chashm bhigone bhi nahin deta hai
uthna chahen to gira deta hai phir thokar se
be-khudi chahen to hone bhi nahin deta hai
har ghadi lagti hai 'anwar' pe nai ek tohmat
kisi ilzam ko dhone bhi nahin deta hai

27809 viewsghazal • English