zahr ke tir mere chaaron taraf khinchta hai kya ajab shakhs hai apnon pe hadaf khinchta hai phir wahi dil mein udasi ke umadte baadal phir wahi silsila-e-khak-o-khazaf khinchta hai phir wahi qahr wahi fitna-e-dajjal ke din phir wahi qissa-e-ashab-e-kahaf khinchta hai kaun si soi hui pyas ka rishta jaga aaj kyun mujh ko ye sahra-e-najaf khinchta hai kaun se log the zulmat ke sahraon mein ki jinhen martaba-e-izz-o-sharf khinchta hai