zaif ruh hui par badan Dhala ki nahin

By vijay-sharmaJune 18, 2022
zaif ruh hui par badan dhala ki nahin
ke tere des tera rasta bana ki nahin
hain apni zat ke munkir zamin-o-ab bhi kya
udas rang shajar ka hara hua ki nahin


ye bahs chhod ke kitni hasin hai duniya
tu ye bata ki tera dil kahin laga ki nahin
main khud se ruth ke duniya ka ho chuka tha magar
wo mujh ko chhod ke apna bhi ho saka ki nahin


nahin wo haal ke ehsas-e-nau barat paun
tu fasle hi se mujh ko sambhaal aa ki nahin
56909 viewsghazalEnglish