zakhm dabe to phir naya tir chala diya karo dosto apna lutf-e-khas yaad dila diya karo ek ilaj-e-daimi hai to bara-e-tishnagi pahle hi ghunt mein agar zahr mila diya karo shahr talab kare agar tum se ilaj-e-tiragi sahab-e-ikhtiyar ho aag laga diya karo maqtal-e-gham ki raunaqen khatm na hone paengi koi to aa hi jaega roz sada diya karo jazba-e-khak-parwari aur sukun paega khak karo hamein to phir khak uda diya karo