zaKHm-e-dil ka ho mudawa mujhe manzur nahin
By wafa-niyaziJanuary 8, 2021
zakhm-e-dil ka ho mudawa mujhe manzur nahin
zist ka meri sahaara hai ye nasur nahin
mangta hun main tujhe tujh se naya hai ye sawal
baat radd karna gada ki tera dastur nahin
aap aa jaen dam-e-naza mujhe lene ko
aap ki shan-e-karam se to ye kuchh dur nahin
aish ke sab hi hain saman mayassar lekin
mera saqi nahin wo baada-e-makhmur nahin
aarzu did ki arse se dobara hai mujhe
ek hi bar mein jal jae ye wo tur nahin
aap ka jaur-o-sitam aur ziyaada ho sada
ho ifaqa ye 'wafa' ko meri manzur nahin

90511 viewsghazal • English