zaKHm-e-dil par gulab rakkha hai

By sabeensaifFebruary 28, 2024
zakhm-e-dil par gulab rakkha hai
ya koi mahtab rakkha hai
khud ko taqsim kar ke rishton mein
kaisa dil ka hisab rakkha hai


pyar se badh ke koi duniya mein
mere rab ne 'azab rakkha hai
meri be-khwab si in aankhon mein
us ki chahat ka khwab rakkha hai


apne har ek sawal mein likh kar
us ne koi jawab rakkha hai
kar ke sairab sare 'alam ko
nam apna sarab rakkha hai


khas chashm-e-karam hai rab ki 'sabin'
mujh ko ahl-e-kitab rakkha hai
96188 viewsghazalEnglish