zakhm-khurda to usi ka tha sipar kya leta apni takhliq se main dad-e-hunar kya leta wo kisi aur tasalsul mein raha mahw-e-kalam meri baaton ka bhala dil pe asar kya leta us ko fursat hi na thi naz-e-masihai se apne bimar ki wo khair-khabar kya leta ek aawaz pe maqsum tha chalte rahna be-tayyun tha safar rakht-e-safar kya leta saz-e-lab gung the be-nur thi qindil-e-nazar aise mahaul mein ilzam-e-hunar kya leta be-niyazana raha apni rawish par 'mohsin' shab-paraston se bhala fal-e-sahar kya leta