zaKHm nasur koi hone se

By navin-joshiNovember 11, 2020
zakhm nasur koi hone se
dard ugta hai dard bone se
wo tha markuz mere markaz par
aur udhadta raha main kone se


chalo ab hans ke dekh lete hain
dil pighalte nahin hain rone se
ise hum sud ab kahen ya ziyan
mil gaya khwab nind khone se


wo andheron mein hi rahe aakhir
bujh gae jo charagh dhone se
din mein bhi raat ka saman hoga
jagte mein yun sab ke sone se


meri mitti hai ab talak kachchi
ghul na jaun kahin bhigone se
ab samundar nipat akela hai
kya mila kashtiyan dubone se


mere sae se ye bhi zahir hai
nur hail hai mere hone se
40033 viewsghazalEnglish