zakhm purane phul sabhi basi ho jaenge dard ke sab qisse yaad-e-mazi ho jaenge sansen leti taswiron ko chup lag jaegi sare naqsh karishmon se aari ho jaenge aankhon se masti na labon se amrit tapkega shisha-o-jam sharabon se khali ho jaenge khuli chhaton se chandni raaten katra jaengi kuchh hum bhi tanhai ke aadi ho jaenge kucha-e-jaan par gahre baadal chhae rahenge 'zeb' us ki khidki ke parde bhaari ho jaenge