zakhm sab us ko dikha kar raqs kar ediyon tak khun baha kar raqs kar jama-e-khaki pe musht-e-khak dal khud ko mitti mein mila kar raqs kar is ibaadat ki nahin koi qaza sar ko sajde se utha kar raqs kar dur hat ja saya-e-mehrab se dhup mein khud ko jala kar raqs kar bhul ja sab kuchh magar taswir-e-yar apne sine se laga kar raqs kar tod de sab halqa-e-bud-o-nabud zulf ke halqe mein ja kar raqs kar us ki chashm-e-mast ko nazron mein rakh ek zara masti mein aa kar raqs kar apne hi pairon se apna-ap raund apni hasti ko mita kar raqs kar us ke darwaze pe ja kar daf baja us ko khidki mein bula kar raqs kar