zakhm to zakhm hai kuchh der mein bhar jaega lafz nashtar hai rag-e-jaan mein utar jaega teri rahmat ka ye dariya wo musafir hai ki jo meri basti se dabe panw guzar jaega rang kachcha hai tere shahr-e-wafa ka jaanan gham ki ek lahr chalegi to utar jaega aa teri mang mein is sham ki surkhi bhar dun us ki tazin se ye husn nikhar jaega is qadar maut ke saman ka hai ambar laga kal ka insan jo dekhega to dar jaega zulm ki dhup mein nafrat to panap sakti hai pyar to phul hai is dhup mein mar jaega pahle barbaad to kar le ye zamin ka chehra phir ye insan kisi aur nagar jaega