zaKHm tumhaare bhar jaenge thoDi der lagegi
By basir-sultan-kazmiFebruary 3, 2021
zakhm tumhaare bhar jaenge thodi der lagegi
be-sabri se kaam liya to aur bhi der lagegi
sahab aaj to apna kaam kara ke jaenge hum
sari sharten puri hain phir kaisi der lagegi
yun behaal na ho ai dil bas aate hi honge wo
kal bhi der lagi thi un ko aaj bhi der lagegi
sikh liya hai main ne apne aap se baaten karna
fikr nahin un ko aane mein kitni der lagegi
kaun ruke ab us ke dar par sham hui ghar jaen
itna zaruri kaam nahin hai jitni der lagegi
itni der mein kuchh ke kuchh ho jaenge haalat
khat likhne se khat milne tak jitni der lagegi
mar-gazida kaun bacha hai 'basir' shukr karo tum
thik bhi ho jaoge lekin khasi der lagegi

75627 viewsghazal • English