zakhmon ke nae phul khilane ke liye aa phir mausam-e-gul yaad dilane ke liye aa masti liye aankhon mein bikhere hue zulfen aa phir mujhe diwana banane ke liye aa ab lutf isi mein hai maza hai to isi mein aa ai mere mahbub satane ke liye aa aa rakh dahan-e-zakhm pe phir ungliyan apni dil bansuri teri hai bajaane ke liye aa han kuchh bhi to derina mohabbat ka bharam rakh dil se na aa duniya ko dikhane ke liye aa mana ki mere ghar se adawat hi tujhe hai rahne ko na aa aag lagane ke liye aa pyare teri surat se bhi achchhi hai jo taswir main ne tujhe rakkhi hai dikhane ke liye, aa aashufta kahe hai koi diwana kahe hai main kaun hun duniya ko batane ke liye aa kuchh roz se hum shahr mein ruswa na hue hain aa phir koi ilzam lagane ke liye aa ab ke jo wo aa jae to 'ajiz' use le kar mahfil mein ghazal apni sunane ke liye aa