zalil maslahaton ka asir niklega khabar nahin thi ki tu be-zamir niklega hamare shahr ke logon ko ye ummid na thi amir-e-shahr bhi dil ka faqir niklega agar naqab hati rahzan ke chehre se to kya khabar thi hamara amir niklega main jaanta tha tere lab se bad-gumani mein jo lafz niklega ban kar wo tir niklega suna hai kucha-e-shisha-garan se aaj 'anwar' wo sang-zadon ka jamm-e-ghafir niklega