zalim ko bhi phir nashsha-e-bedad-gari hai
By abdullah-saqibJanuary 6, 2024
zalim ko bhi phir nashsha-e-bedad-gari hai
phir hum hain wahi phir wahi aashufta-sari hai
wo aae hai jab yaad to lagta hai kuchh aisa
jaise koi chattan si sine pe dhari hai
zahid ne use dekha jo tuk dekh ke bola
aadam ki hi beti hai ki ye hur pari hai
mahfil mein mujhe aap kaha us gul-e-tar ne
ab aap hai kis zumre ka ye dard-e-sari hai
kya haal hua khwahish-e-yak-did mein mera
aankhon mein koi ashk bhi baqi na tari hai
ye satr likhi aakhiri aur band kin aankhen
kya khub teri chaaragari chaaragari hai
is tarh se milta hai agar 'ohda-o-mansab
kya waq'at-e-imlak hai kya taj-wari hai

48363 viewsghazal • English