zalzale saKHt aate rahe raat-bhar

By abdul-mannan-tarziApril 24, 2024
zalzale sakht aate rahe raat-bhar
ghar ko dhate giraate rahe raat-bhar
aap han aate jate rahe raat-bhar
waz'-dari nibhate rahe raat-bhar


sara din naqsh un ka banate rahe
ban gaya to mitate rahe raat-bhar
koi bhi hum ko hatim nahin kah saka
garche moti lutate rahe raat-bhar


din mein sarmaya-kari jo ki dard ki
hum khasare chukate rahe raat-bhar
subh-dam ju-e-khun kaise wo ban gae
hum jo aansu bahate rahe raat-bhar


dekhiye sadgi aap ki dastan
aap hi ko sunate rahe raat-bhar
teri yaadon ka sawan barasta raha
gulsitan hum khilate rahe raat-bhar


qamat-e-yar par aarzu ki qaba
dil ke hathon sajate rahe raat-bhar
lamha lamha mite hum koi gham nahin
aap ko to banate rahe raat-bhar


hum bisat-e-tamanna bichhate rahe
aate aate wo aate rahe raat-bhar
teri yaadon ke lamhe bhi bedard the
tujh ko mujh se churaate rahe raat-bhar


aasman par sitare larazte rahe
ashk 'tarzi' bahate rahe raat-bhar
35109 viewsghazalEnglish