zalzalon ka asar nahin hota

By fahmi-badayuniFebruary 6, 2024
zalzalon ka asar nahin hota
ghar idhar se udhar nahin hota
sirf sho'lon ki dad milti hai
kya sulagna hunar nahin hota


rail gadi se kud jaun kya
ab akele safar nahin hota
'ishq us faisle ko kahte hain
jo kabhi soch kar nahin hota


qabr mein roz-e-hashr se pahle
zinda hone ka dar nahin hota
sab karishma hai she'r hone ka
she'r kahna hunar nahin hota


main hi zakhmon ko chhed deta hun
jab koi chaaragar nahin hota
jis ke qabze mein duniya hoti hai
us ka duniya mein ghar nahin hota


74183 viewsghazalEnglish