zamana bit chuka hai palak bhigone ka

By shehzad-anjum-burhaniJanuary 5, 2024
zamana bit chuka hai palak bhigone ka
yun ji rahe hain ki mauqa nahin hai rone ka
zamin bhi narm hai baadal bhi sa’iqa-bar-dosh
yahi to waqt munasib hai bij bone ka


ye ma-hasal bhi hamein habs-e-jaan bana hua hai
ki ibtida hi se khatka laga tha khone ka
thake-thakae tere bazuon mein sote hain
hamein pata hai maza reshmi bichhaune ka


'ajib apni tabi'at hai in dinon 'anjum'
bahana dhund rahi hai udas hone ka
72920 viewsghazalEnglish