zamane bhar se Dar kar kya karun main
By betakalluf-shaajapuriJanuary 20, 2024
zamane bhar se dar kar kya karun main
darun to apni biwi se darun main
kisi din phenk dena un ke upar
marun to un ke upar hi marun main
kahin se sham ki mil jae roti
ye bhuka hath ab kis par dharun main
dawa khaun ki roti ya ke halwa
ye das ka note hai kya kya karun main
ijazat ho to tere ghar mein aa kar
sahar se sham tak pani bharun main
bade ghar ka mujhe damad kar de
parathe roz phokat mein charun main
chalo shair to main khud ban gaya hun
koi batlae ke ab kya karun main
kabhi roun kabhi machchhar bhagaun
wo soe raat bhar jaga karun main
chhupa lun 'be-takalluf' main bhi katte
saudi ja ke phir chanda karun main
darun to apni biwi se darun main
kisi din phenk dena un ke upar
marun to un ke upar hi marun main
kahin se sham ki mil jae roti
ye bhuka hath ab kis par dharun main
dawa khaun ki roti ya ke halwa
ye das ka note hai kya kya karun main
ijazat ho to tere ghar mein aa kar
sahar se sham tak pani bharun main
bade ghar ka mujhe damad kar de
parathe roz phokat mein charun main
chalo shair to main khud ban gaya hun
koi batlae ke ab kya karun main
kabhi roun kabhi machchhar bhagaun
wo soe raat bhar jaga karun main
chhupa lun 'be-takalluf' main bhi katte
saudi ja ke phir chanda karun main
46894 viewsghazal • English