zamane ke darbar mein dast-basta hua hai ye dil us pe mail magar rafta rafta hua hai achanak hi hathiyar wale nahin sakht-jaan ne jigar waqt ke sath khasta shikasta hua hai kahin andar andar sulagti thi chingari koi magar hadsa aakhir-e-kar sham-e-guzishta hua hai kai bar jallad ne khinch dekha hai us ko magar munjamid dar ka sard takhta hua hai khabar-dar rahne laga shahryar us se 'yasir' qalam mere hathon mein khanjar ka dasta hua hai