zamin banai gai aasman banaya gaya barae-ishq ye sara jahan banaya gaya tumhaari na ko hi aakhir mein han banaya gaya yaqin ke chaak pe rakh kar guman banaya gaya tum us ke pas ho jis ko tumhaari chah na thi kahan pe pyas thi dariya kahan banaya gaya hamare sath koi do qadam bhi chal na saka kisi ke waste ek karwan banaya gaya badal ke dekh lo tum jism chahe auron se wahin pe thik hai jis ko jahan banaya gaya kisi ko jab bhi zarurat padi siyahi ki hamara jism jala kar dhuan banaya gaya bas ek main hi tha basti mein bolne wala to sab se pahle mujhe be-zaban banaya gaya