zamin-e-dil pe sabhi aasman chhod gaya wo ek yaqin tha lekin guman chhod gaya nai zamin naya aasman chhod gaya tera wajud meri dastan chhod gaya har ek sans mein kyon imtihan chhod gaya nidhaal jism mein wo sakht jaan chhod gaya na jaane kitne sawalon ko de diya mauqa wo be-zaban tha lekin bayan chhod gaya gaya safar pe to phir laut kar nahin aaya wo apne panw ke lekin nishan chhod gaya naya irada nai manzilon ko pane mein purani soch purani takan chhod gaya 'zahin' dil tha jo pahle hi de diya us ko ab ek dimagh bacha tha so dhyan chhod gaya