zamin hasb-e-zarurat ugai jati hai
By nomaan-shauqueFebruary 28, 2024
zamin hasb-e-zarurat ugai jati hai
phir ek sanche mein khilqat banai jati hai
khabar mein hain jo kai zar-kharid qissa-go
hamein unhin ki kahani sunai jati hai
hamari bazm mein jalte nahin charagh ke sath
yahan charagh ki dahshat jalai jati hai
tamam raat ka jaga hun ma'zarat mere dost
bura na man agar nind aai jati hai
hamare jam mein ilzam ke siwa nahin kuchh
hamein sharab ki tohmat pilai jati hai
main khud se jang ka e'lan karne wala hun
jo haari jati nahin hai harai jati hai
hamare 'ahd ka sarmaya hain ye talib-e-‘ilm
inhen kitab se nafrat sikhai jati hai
zamin par hai tamam andhe 'ashiqon ka hujum
yahan wafa bhi nahin aazmai jati hai
ye kaise khwab ki takmil mein laga hai jahan
ki zahr de ke mohabbat sulai jati hai

60915 viewsghazal • English