zamin ka aakhiri manzar dikhai dene laga main dekhta hua patthar dikhai dene laga wo samne tha to kam kam dikhai deta tha chala gaya to barabar dikhai dene laga nishan-e-hijr bhi hai wasl ki nishaniyon mein kahan ka zakhm kahan par dikhai dene laga wo is tarah se mujhe dekhta hua guzra main apne aap ko behtar dikhai dene laga tujhe khabar hi nahin raat moajiza jo hua andhere ko, tujhe chhu kar, dikhai dene laga kuchh itne ghaur se dekha charagh jalta hua ki main charagh ke andar dikhai dene laga pahunch gaya teri aankhon ke us kinare tak jahan se mujh ko samundar dikhai dene laga