zamin kaisi thi kaisa aasman tha

By raj-khetiJune 17, 2022
zamin kaisi thi kaisa aasman tha
nahin malum mujh ko main kahan tha
nishan manzil ka koi kaise dhunde
ki ta-hadd-e-nazar phaila dhuan tha


wo mausam laut kar aayega ek din
abhi tak mere dil mein ye guman tha
bhadak uthta tha kya rah rah ke jaane
ki mera dil to ek aatish-fishan tha


achanak bhul kar pahuncha jahan main
wo sach-much mere sapnon ka jahan tha
adalat kya mujhe insaf deti
ki jhuta jab gawahon ka bayan tha


hasin thi 'raj' duniya ki har ek shai
ki jab tak dil ka har jazba jawan tha
65147 viewsghazalEnglish