zamin khanakti rahi aur ghata ne kuchh na kaha gali tak aa ke bhi kali bala ne kuchh na kaha kahan kahan pe darakhton ki chadaren utrin lagi wo chup ki barahna hawa ne kuchh na kaha tamam shab padi jazbon pe itni os ki bas tamam shab khalish-e-der-pa ne kuchh na kaha kahan bujhe wo darichon se jhankte chehre palat ke aai to baad-e-saba ne kuchh na kaha wo musht-e-khak ki majburiyan samajhta hai jabin ke dagh gine phir khuda ne kuchh na kaha ajab hai qaht-e-sada bhi ki jab gire hum log idhar udhar se kisi ham-nawa ne kuchh na kaha to kya kisi ne use tutte nahin dekha to kya kisi se mere be-wafa ne kuchh na kaha