zamin ki god mein baitha humak raha hun main falak pe chand ki jaanib lapak raha hun main nahin hai apni zamin ki koi khabar lekin khala mein dur kisi shai ko tak raha hun main naha gaya hun khud apne lahu mein sar-ta-pa junun ki aag mein lekin dahak raha hun main agarche zulmat-e-shab mein kami nahin aai misal-e-mah-e-darakhshan chamak raha hun main har ek samt badalti ruton ka matam hai shagufta ghunche ki surat chatak raha hun main parakhne wale mujhe dekh is tarah bhi zara agar hai khot to kaise chamak raha hun main giri hi jati hai diwar-e-girya har lahza kisi ki aankh se shayad dhalak raha hun main tamam shahr ne didar kar liya 'kausar' ab apni lash ke chehre ko dhak raha hun main