zamin ki hirs mein main aasman ko chhoD aaya
By betab-amrohviFebruary 26, 2024
zamin ki hirs mein main aasman ko chhod aaya
haris-e-la-makan dekho makan ko chhod aaya
tumhaare waste phulon ko alwida' kah kar
bhari bahaar mein main gulsitan ko chhod aaya
khizar ke rup mein rahzan the rahnuma mere
yahi sabab tha ki main karwan ko chhod aaya
wo ek asir-e-sitam-ha-e-rozgar hun main
qafas ke waste jo aashiyan ko chhod aaya
kahan se uf kahan le aai justuju teri
teri talash mein sare jahan ko chhod aaya

51841 viewsghazal • English