zamin ki wusaton se aasman tak kahani apni ja pahunchi kahan tak lagi thi aag jo sehn-e-chaman mein wo aa pahunchi hamare aashiyan tak bata de hum ko itna rahbar ab bhatakna hai hamein aakhir kahan tak kisi ke husn ka wo roab tauba shikayat rah gai aa kar zaban tak chali thi baat meri dastan se wo aa pahunchi tumhaari dastan tak jo guzri hai hamari zindagi par na jae wo hamare karwan tak hadis-e-zindagi 'jaanbaz' chhedo hadis-e-shoala-o-shabnam kahan tak