zamin lapetta hai aasman sametta hai kahan ki baat ko ye dil kahan sametta hai husain rifaten taqsim karta hai ab bhi yazid aaj bhi ruswaiyan sametta hai wahin pe gardishen ruk sakti hain zamane ki wo jast bharta hai aur par jahan sametta hai use batana ki tum jab kahin bhi tutte ho tumhaari kirchiyan koi yahan sametta hai kisi mein 'nadiya' juz ishq itna zarf kahan hai kaun bikhre dilon ko jo yan sametta hai