zamin-o-asman se aashna hun

By mast-hafiz-rahmaniFebruary 27, 2024
zamin-o-asman se aashna hun
magar khud se main begana raha hun
main aaya kis liye tha aur kiya kya
ye tanhai mein aksar sochta hun


mizaj-e-gham se tum waqif nahin ho
main shahr-e-gham ka shahzada raha hun
khala mein har taraf meri sada thi
magar aisa bhi hai ab be-sada hun


hazaron aarzuen sath apne
akela ho ke bhi ek qafila hun
muqabil mein hazaron hadse hain
mujhe dekho main phir bhi hans raha hun


93676 viewsghazalEnglish