zamin par hashr kuchh aisa bapa hai

zamin par hashr kuchh aisa bapa hai
har insan apne andar chhup gaya hai

fazaon mein har ek su raushni hai
na jaane aaj kis ka ghar jala hai

use koshish mein padhne ki laga hun
waraq jo mere dil ne likh diya hai

nazar aati nahin hai shakl koi
bas ek saya khala mein chal raha hai

diye hain apne-pan ne zakhm itne
koi hans kar mile dil kanpta hai

wahi ek yaad jo dil mein basi thi
wahi to ab mere dil ki dawa hai

khalish tadpa rahi thi kab se 'adil'
nishan-e-zakhm ab ja kar mila hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close