zamin thame rahun sar pe aasman le jaun
By salim-saleemFebruary 28, 2024
zamin thame rahun sar pe aasman le jaun
kahan talak main ye hangama-e-guman le jaun
chalo hisab wafaon ka kar liya jae
tamam naf' tumhaara ho main ziyan le jaun
sabhi udas mile qahqahon ki basti mein
to phir main kyon na wahan dard ki zaban le jaun
tumhin ne mujh se kaha tha ye ‘ishq-wishq hai kya
tumhin batao main ye zindagi kahan le jaun
badan se ruh talak fasla bahut hoga
so is safar ke liye main bhi rakht-e-jaan le jaun

18893 viewsghazal • English