zamin thi hi nahin aasman tha hi nahin

By shehzad-anjum-burhaniJanuary 5, 2024
zamin thi hi nahin aasman tha hi nahin
jahan pe hum the koi darmiyan tha hi nahin
sukhan to warna dilon ko bhi chir deta hai
tere bayan mein zor-e-bayan tha hi nahin


hasin log uda le gae khazana-e-dil
ye ghar khula tha koi pasban tha hi nahin
use bhi rog nae mausamon ka lag gaya hai
hawa ke rukh pe hamara bhi dhyan tha hi nahin


ye kaun kashti meri sahilon pe le aaya
hawa thi tez bahut baadban tha hi nahin
nasab ka jazb-e-tafakhur tha dher mitti ka
pata chala ki mera khandan tha hi nahin


65622 viewsghazalEnglish