zamir-e-lala mai-e-lal se hua labrez ishaara pate hi sufi ne tod di parhez bichhai hai jo kahin ishq ne bisat apni kiya hai us ne faqiron ko waris-e-parwez purane hain ye sitare falak bhi farsuda jahan wo chahiye mujh ko ki ho abhi nau-khez kise khabar hai ki hangama-e-nashur hai kya teri nigah ki gardish hai meri rusta-khez na chhin lazzat-e-ah-e-sahar-gahi mujh se na kar nigah se taghaful ko iltifat aamez dil-e-ghamin ke muafiq nahin hai mausam-e-gul sada-e-murgh-e-chaman hai bahut nashat angez hadis-e-be-khabran hai tu ba zamana ba-saz zamana ba to na sazad tu ba zamana satez