zara bhi badli nahin jo bhi uski aadat thi

By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
zara bhi badli nahin jo bhi us ki 'adat thi
mila to aaj bhi lahje mein ajnabiyyat thi
wo din bhi the ki in aankhon mein itni hairat thi
tamam bazigaron ko meri zarurat thi


wo baat soch ke main jis ko muddaton jita
bichhadte waqt batane ki kya zarurat thi
pata nahin ye tamanna-e-qurb kab jagi
mujhe to sirf use sochne ki 'adat thi


khamoshiyon ne pareshan kiya to hoga magar
pukarne ki yahi sirf ek surat thi
gae bhi jaan se aur koi mutmain na hua
ki phir difa’ na karne ki hum pe tohmat thi


kahin pe chuk rahe hain ye aaine shayad
nahin to 'aks mein ab tak meri shabahat thi
hazar bar ishaaron mein us ko samjhaya
magar use to mere jhuth se mohabbat thi


mana liya hai use phir usi ki sharton par
tamam 'umr kise ruthne ki fursat thi
har ek qadam pe bahut sochna pada mujh ko
ki imtihan bhi wahin the jahan ijazat thi


ye us ki shakl se kyon mere khadd-o-khal ubhre
use bhi fikr bahut thi mujhe bhi hairat thi
27118 viewsghazalEnglish