zara sa ho mayassar wo jo mujhko

By nomaan-shauqueFebruary 28, 2024
zara sa ho mayassar wo jo mujh ko
zara sa aae chain aae to mujh ko
main shah-e-'ishq ka sanduqcha hun
kabhi fursat mile to kholo mujh ko


sar-e-sahil meri jurat raqam hai
yahan to kam se kam ab mat ro mujh ko
agarche train aani thi tumhaari
kahe jata tha main hi roko mujh ko


koi to raaz apna kholo mujh par
kabhi to pyar se kuchh kah do mujh ko
93603 viewsghazalEnglish