zara se nur par itra rahe hain

By sapna-jainFebruary 29, 2024
zara se nur par itra rahe hain
ye jugnu chand se takra rahe hain
wo jis ki aankh se darte the bachche
usi ko aankh ab dikhla rahe hain


banenge wo niwala dhup ka ab
shajar phaldar jo katwa rahe hain
raha ta-'umr jo ban kar masiha
use suli pe sab latka rahe hain


bahut dilkash hai ye duniya magar hum
teri khatir ise thukra rahe hain
58574 viewsghazalEnglish