zara si baat par naraaz hona ranjishen karna mohabbat mein use aata nahin gunjaishen karna meri beti ne mujh ko dekh kar sikha hai barson mein purana aaina rakh kar nai aaraishen karna meri almariyon mein qimti saman kafi tha magar achchha laga us se kai farmaishen karna mujhe bachchon ki aankhon mein wo sare rang milte hain jinhen chhune se aae zindagi ki khwahishen karna 'humaira' dhyan rakhna dubte suraj ki aahat ka sada chadhti utarti dhup ki paimaishen karna