zarb-e-taza-kari hai hadisa purana hai

By badiuzzaman-saharJanuary 19, 2024
zarb-e-taza-kari hai hadisa purana hai
sang-e-nau ke narghe mein phir wahi diwana hai
jab se ye ghata us ke gesuon ki chhai hai
bijliyon ki yurish mein tab se aashiyana hai


zindagi ki aazadi intishaar-e-qalib hai
ruh ke parindon ka jism qaid-khana hai
khel hai guzar jaana darmiyan-e-hasti se
ek taraf mohabbat hai ek taraf zamana hai


nafs ke dariche se dil ki dhadkanen guzrin
aati jati sanson ka raqs taziyana hai
dil ki be-qarari ka iztirab kya likhkhun
karsaz-e-ulfat ka shauq tajirana hai


aadmi ke rishte bhi kitne tute phute hain
zindagi ki qadron ka rup hi yagana hai
kya 'sahar' zamane ka inhitat-e-tahzibi
irtiqa-e-hasti ka qimti khazana hai


77872 viewsghazalEnglish