zard mausam ki aziyyat bhi uThane ka nahin

By mubashshir-saeedFebruary 27, 2024
zard mausam ki aziyyat bhi uthane ka nahin
main darakhton ki jagah khud ko lagane ka nahin
ab tere sath ta'alluq ki guzargahon par
waqt mushkil hai magar hath chhudane ka nahin


qarya-e-sabz se aati hui pur-kaif hawa
taq par rakkha mera dip bujhane ka nahin
sabr ka ghaza mere 'ishq ki zinat thahra
so main aankhon se koi ashk bahane ka nahin


chal raha tha to sabhi log mere bazu the
gir pada hun to koi hath badhane ka nahin
mujh ko ye mir-taqi-'mir' batate hain 'sa'id'
'ishq karna hai magar jaan se jaane ka nahin


13210 viewsghazalEnglish