zard mausam mein nae phul khilane wale mundamil kar na sake zakhm purane wale kaun sauda-e-dua karta hai zakhmon ke ewaz hum kahan aur kahan log zamane wale fursat-e-khwab kahan aise hue hain bedar tere jhonke bhi nahin nind mein lane wale chashni ja nahin sakti kabhi lafzon se teri chahe mazmun dar aaen kai aane wale dekhna turra-e-shah sa wo maal-o-hangam sar bhi dhar jaenge dastar bachane wale fikr daman ki nahin karte nikal aate hain ek hi silwat pe kai harf uthane wale aaj garche nahin ek roz karenge charcha mere ahbab nahin mujh ko bhulane wale