zard yaadon se bhar diya hai mujhe

By nomaan-shauqueFebruary 28, 2024
zard yaadon se bhar diya hai mujhe
kis ne viran kar diya hai mujhe
haft-aflak sair ki khatir
qaid rahne ko ghar diya hai mujhe


chakh liya us ne pyar thoda sa
aur phir zahr kar diya hai mujhe
itna khali nahin rakha us ne
lams bhi khwab bhar diya hai mujhe


kaam hi kya tha chahne ke siwa
tum ne bekar kar diya hai mujhe
51735 viewsghazalEnglish