zarf us ka meri ummid se baDh kar nikla

By shahnaz-naqviMarch 1, 2021
zarf us ka meri ummid se badh kar nikla
main ne dariya jise samjha wo samundar nikla
main jise dhup samajh kar kabhi ghabraati thi
wo mere apne khayalat ka manzar nikla


hum ne jaana tha jise sari duniya se alag
wo bhi duniya ke riwajon hi ka khugar nikla
kho diya jab to ehsas hua shiddat se
main jise khar samajhti thi gul-e-tar nikla


apne jazbaat ko is tarah se mahsus kiya
dil ka ek lafz kabhi bhi na zaban par nikla
kuchh fana bhi na mita pai mohabbat ka wajud
aaina tut ke kuchh aur bikhar kar nikla


'naz' khushbu mujhe har or se mahsus hui
is chaman-zar ka har phul moattar nikla
91203 viewsghazalEnglish