zarra bhi agar rang-e-khudai nahin deta andha hai tujhe kuchh bhi dikhai nahin deta dil ki buri aadat hai jo mitta hai buton par wallah main un ko to burai nahin deta kis tarah jawani mein chalun rah pe naseh ye umr hi aisi hai sujhai nahin deta girta hai usi waqt bashar munh ke bal aa kar jab tere siwa koi dikhai nahin deta sun kar meri fariyaad wo ye kahte hain 'shair' is tarah to koi bhi duhai nahin deta