zarra insan kabhi dasht-nagar lagta hai

By ram-riyazNovember 13, 2020
zarra insan kabhi dasht-nagar lagta hai
baz auqat hamein aisa bhi dar lagta hai
ham-nashin teri bhi aankhon mein jhalakta hai dhuan
tu bhi min-jumla-e-arbab-e-nazar lagta hai


koi leta hai tera nam to ruk jata hun
ab tera zikr bhi sadiyon ka safar lagta hai
hum pe bedad-garo sang uthana hai fuzul
kahin uftada darakhton pe samar lagta hai


mere dil mein bade aaine hain taswiren hain
sach batana tumhein kaisa mera ghar lagta hai
shab ke mahbus hain sone ki ijazat hi nahin
aankh lagti hai to diwar se sar lagta hai


'ram' is daur mein qamat ki bulandi ke liye
sar pe insan ke surkhab ka par lagta hai
97343 viewsghazalEnglish