zarre zarre mein nihan ek nagin tha pahle

By ali-tasifJune 3, 2024
zarre zarre mein nihan ek nagin tha pahle
lekin is dasht mein dil aur kahin tha pahle
aasman mujh ko kahan sarf kiye jata hai
mujh ko is baat ka ehsas nahin tha pahle


waqt khud us ko faqiri ki taraf le aaya
jo faqiron pe bahut chin-ba-jabin tha pahle
kucha-e-josh-o-junun dekh ke dil dub gaya
in makanon mein bahut shor-e-makin tha pahle


aap zahmat-kash-e-ummid kahan hote the
warna har baat ka imkan yahin tha pahle
aisa mauf kiya tute iradon ne mujhe
jo guman aaj guzarta hai yaqin tha pahle


har gul-e-nau ki ada yaad dila jati hai
hu-ba-hu main bhi kabhi naz ba-in tha pahle
tasht-az-baam kiye kar-e-sukhan-dani ne
warna dil kitne hi raazon ka amin tha pahle


gunjlak nuqta-e-sada ko banaya 'tasif'
aisa mushkil bhi kahan din-e-mubin tha pahle
87756 viewsghazalEnglish