zarur bhul hui hai kahin sunane mein

By nomaan-shauqueFebruary 28, 2024
zarur bhul hui hai kahin sunane mein
ye waqi'a to kahin bhi na tha fasane mein
mere liye hi hua ehtimam-e-jashn magar
jagah na mil saki mujh ko hi shamiyane mein


farefta hai har ek shakhs apni surat par
main aa gaya hun ye kaise fareb-khane mein
andhere aur ghane had se bhi ghane honge
wo chuk ab ke hui hai diya jalane mein


bade gharon mein rahi hai bahut zamane tak
khushi ka ji nahin lagta gharib-khane mein
59918 viewsghazalEnglish